Gumsum see ek chidiya thi
Sab ke liye paheli thi
Kuch ke liye jaadui pudiya thi
Gumsum see ek chidiya thi
Saara jungle saathi tha
Titli ho phool ho chahe woh haathi tha
Sab yun hi poocha karte
Tum humare jaise kyu na rahte
Naa hi raaston pe nikalte
Aur naa kuch avaaz hi karte
Jaane kyu gumsum raha karte
Dekho timtim taaron ko
Poocho in anokhe nazaaron ko
Kahtee hai ye raat suhaani
Poori karo apni tum kahaani
Gumsum Chidya kahtee hai
Apnee avaz sunaati hoon
Kuch jaroori bataati hoon
Jab Sab sapno mein khoye rahte hain
Main pratidhvaniyan suntee hoon
Sun sun kar hi hunstee hoon
Aur sun sun kar hi rotee hoon
Kya aie chand sitare
Kya aie anchue nazare
Aur tum raat suhaani
Sunogi meri kahaani...
Darkar bole saare ye
Rahna khush aur chamakna hai hume
Kabhi fursat mille toh sunte hai
Tumhare bikhre paron ko jodte hai
Jo gumsum see chidiya thi
Jo jaadu ki pudiya thi
avazon se bahar nikal nahi paayi
Unki baucharon mein khud ko akela hi paayi
Tabhi ek paakhi usse raat nazar aayi
Door desh se aayi hoon main
Aapus mein chal baat karein
Avazon ko mil baat karein
Kuch dard mera tu le le
Aur kuch gumo ko mujhe de de
Lambi rahi woh raat suhaani
Kahte rahe woh apni kahaani
Baandhi unn kisson se aati avazon ko
Aur bikhera bahte nadi naalon pe
Subah hui sab soch rahe the
Phool,titli haathi bhi dekh rahe the
Chidiya aaj chahchaha rahi thi
Khoob saari hunsi bikhere hi jaa rahi thi
Door desh jo paankhi aaya tha
Chua apni aankh toh geela paya tha
Aur baaki aaj bhi sab soch rahe....
For friends...who continue to help me whenever they listen my "Avaz"
4 comments:
nice composition. I like the way you presented it.
~Anonymous
definitely a very beautiful presentation style..content too is extremely touching and agonising in a sense that it is baffling reader's tought process..!!
This simple poem...is not as simple as it seems.......it means a lot to me..
Thanks a lot to all those who have read this.
Lovely Poem as always ..shows your EQ level :-)
dunno how i missed this one ...came back to ur blog after so many days
-Rashmi
Post a Comment