Sunday, March 11, 2007

Ek Geet



Dhoop ki lakeer pe jume hue se kuch khwaab

.......andhere ko pasand nahi aaye

Raat ki dahleez pe sooraj ke ugne ke aasar
........andhere ko pasand nahi aaye

Panchiyon ke badlon ko jeet lene ke armaan
........andhere ko pasand nahi aaye

Ghonsle ke deewaro ko rang lagaane ke aas
........andhere ko pasand nahi aaye

Tap-tap tapkati baarish ki boondo ka sachcha sa sangeet
Door se aati havaon mei mitti ka saundha swaroop
.......andhere ko pasand nahi aaye

Akele raaste pe chalne ka kiya tha jo pran
Ujaale se milaane ka diya tha jisne vachan
Woh Raasta aur uska Jeevan
.......andhere ko pasand nahi aaye


Rahte hue iss andhere mein hi
kyu naa hum holi manaye
Aao andhera jaalaye
Aao andhera jaalaye !

Naa pade fir koi khwaab kaala
Aur raat ko bhi de sooraj ujiyaara
Tinka tinka fir ghosle ka rangeen ho
Aur goonjta boondo ka sangeet ho

.......Aao andhera jaalaye
.......Aao andhera jaalaye!




The inspiration for this poem was a "thick bundle of sunrays" peeping through the half open door and coming into my room...


Written for Vijay

6 comments:

Anonymous said...

dear saurabh,
andhere ko bahale hi kuch pasand aaya ho ya na aaya ho mujhe to bohat pasand aayi tumhari ye rachna. Gud job!!!
Mehul

ghar se dur koi...........tumhara said...

agar talaash karun koi mil hi jaayega,
magar tumhari tarah kaun mujhko chaahega........
tumhare saath ye mausam faristo jaisa hai,
tumhare baad ye mausam bahut sataayega..................


bahut achchi hai dost......
kai baar padhi har baar pahle se achchi lagi........behatareen

Abhik said...

I loved it! Frankly, brilliant! Don't have anything else to say.

Ashish.612 said...

A very good effort...saurabh, day by day u r maturing as a better poet...i have been reading your poems from quiet someime now...n "EK GEET" is a very good effort...
keep the good work going.

Anonymous said...

saurabh..this one is the most rhythmic and meaningful poem coming frm u..in long time..surely its commendable..keep the things going..very good very good..!!!

Riya said...

i just like it,
tumhara andhere se ladne ka ye prayas, bahut sarahniya hai,,,,,,,,,,,
very nice composition